untitled


Chiraag



1.   Tareef uss khuda ki jisney jahaan banaya

2.   Zara chehray say kamli ko hata do ya rasulla

3.   Ab to maray khuda mujhey jalwa

4.   tujhe DhoonDtaa thaa maiN chaar-suu 
     terii shaan jalle jalaal hooN 
     tuu milaa qariib-e-khoj looN 
     terii shaan jalle jalaal hooN 
     terii yaad meiN hai kalii-kalii 
     hai chaman chaman meiN hubal alii 
     tuu basaa hai phuul meiN huu-ba-huu 
     terii shaan jalle jalaal hooN 
     tere huKm se jo hawaa chalii 
     to chaTak ke bolii kalii-kalii 
     hai karrim tuu rahiim tuu 
     terii shaan jalle jalaal hooN 
     teraa jalvaa dono.n jahaaN meiN hai 
     teraa nuur donoN makaaN meiN hai 
     yahaaN tuu hii wahaaN tuu hii tuu 
     terii shaan jalle jalaal hooN 


5.   charaaG dil ke jalaao ki iid ka din hai
     taraane jhuum ke gaao ki iid kaa din hai

     Gamo.n ko dil se bhulaao ki iid kaa din hai
     Khushii se bazm sajaao ki iid kaa din hai 

     huzuur us kii karo ab salaamtii kii duaa 
     sar-e-namaaz jhukaao ki iid kaa din hai 

     sabhii muraad ho puuriihar ek savaalii kii
     duaa ko haath uThaao ki iid kaa din hai 



6.   duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa 
     yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa 

     daulat ho yaa hukuumat taaqat ho yaa jawaanii 
     har chiiz miTane vaalii har chiiz aanii-jaanii 

     ye sab Guruur ik din miTTii meiN jaa milegaa 
     aataa nahiN palaTakar guzraa huaa zamaanaa 

     kya Khwaab kaa bharosaa kyaa maut kaa Thikaanaa 
     ye zindagii gaNvaa kar kyaa faayadaa milegaa 

7.   Suntey hai ke mil jatee hai har cheez dua sey


8.   madiine ko jaayeN jii chaahataa hai 
     muqaddar banaayeN jii chaahataa hai 

     madiine ke aakaa do aalam ke maulaa 
     tere paas aayeN jii chaahataa hai 

     jahaaN dono aalam hai mahar-e-tamannaa 
     wahaaN sar jhukaayeN jii chaahataa hai 

     muhammad kii baateN muhammed kii siirat 
     sune aur sunaayN jii chaahataa hai 

Web Hosting · Blog · Guestbooks · Message Forums · Mailing Lists
Allwebco Web Templates · Build your own toolbar · Site Building Articles · Audio, Fonts, Clipart
powered by a free webtools company bravenet.com